ishq se kaise baz aaen hum ishq to apna dharm hua
ishq se kaise ba.az aa.eñ ham ishq to apnā dharm huā
jis din ishq se naata TuuTā samjho kirya-karm huā
phir yādeñ ghir ghir kar aa.iiñ phir sulge ban zaḳhmoñ ke
phir būñdoñ ne aag lagā.ī phir sāvan sargarm huā
ruup to us ko aisā dete duniyā dekhtī lekin ham
but-sāzī hī chhoḌ chuke the jab vo patthar narm huā
kaise tesha-o-teġh banāte kaise zarb lagāte log
hathkaḌiyāñ thiiñ sab ke hāthoñ meñ jab lohā garm huā
ham shab-zinda-dāroñ kī bīnā.ī bhī thī sharminda
dekh ke apnā chehra sūraj aap bahut be-sharm huā
ishq se kaise baz aaen hum ishq to apna dharm hua
jis din ishq se nata TuTa samjho kirya-karm hua
phir yaaden ghir ghir kar aain phir sulge ban zaKHmon ke
phir bundon ne aag lagai phir sawan sargarm hua
rup to us ko aisa dete duniya dekhti lekin hum
but-sazi hi chhoD chuke the jab wo patthar narm hua
kaise tesha-o-tegh banate kaise zarb lagate log
hathkaDiyan thin sab ke hathon mein jab loha garm hua
hum shab-zinda-daron ki binai bhi thi sharminda
dekh ke apna chehra suraj aap bahut be-sharm hua
- Book : غزل اس نے چھیڑی-6 (Pg. 247)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.