ishq wahshi hai jahan dekhega
ishq vahshī hai jahāñ dekhegā
husn ko siine se lipTā legā
ġham agar saath na terā degā
phir tujhe koī nahīñ pūchhegā
jaag uTTheñgī purānī yādeñ
tū magar ḳhvāb-e-girāñ chāhegā
dil meñ tūfān uTheñge lekin
ek pattā bhī nahīñ larzegā
har taraf chhā.egī vo ḳhāmoshī
apnī āvāz se tū chauñkegā
inhī Thahre hue lamhoñ kā ḳhayāl
dil se tūfāñ kī tarah guzregā
na baseñge ye ḳharābe dil ke
koī muḌ kar na idhar dekhegā
ai mire husn-e-gurezāñ kab tak
tū mirī qadr na pahchānegā
mujhe zarra na samajhne vaale
tū sitāroñ meñ mujhe DhūñDegā
mujh se katrā ke guzarne vaale
tū mirī ḳhaak ko bhī chūmegā
ishq wahshi hai jahan dekhega
husn ko sine se lipTa lega
gham agar sath na tera dega
phir tujhe koi nahin puchhega
jag uTThengi purani yaaden
tu magar KHwab-e-giran chahega
dil mein tufan uThenge lekin
ek patta bhi nahin larzega
har taraf chhaegi wo KHamoshi
apni aawaz se tu chaunkega
inhi Thahre hue lamhon ka KHayal
dil se tufan ki tarah guzrega
na basenge ye KHarabe dil ke
koi muD kar na idhar dekhega
ai mere husn-e-gurezan kab tak
tu meri qadr na pahchanega
mujhe zarra na samajhne wale
tu sitaron mein mujhe DhunDega
mujh se katra ke guzarne wale
tu meri KHak ko bhi chumega
- Book : Deewar pe dastak (Pg. 47)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.