isi liye to ye shamen ujaDne lagti hain
isī liye to ye shāmeñ ujaḌne lagtī haiñ
ki lau baḌhā ke havā.eñ sukaḌne lagtī haiñ
maiñ kaise apne tavāzun ko barqarār rakhūñ
qadam jamā.ūñ to sāñseñ ukhaḌne lagtī haiñ
yūñhī nahīñ mujhe dariyā ko dekhne se gurez
sunā hai paanī meñ shakleñ bigaḌne lagtī haiñ
isī liye to havā apne ghar nahīñ jaatī
ki us ke baa'd ye galiyāñ ujaḌne lagtī haiñ
raheñ ḳhamosh to hoñToñ se ḳhuuñ Tapaktā hai
kareñ kalām to khāleñ udhaḌne lagtī haiñ
agar maiñ saañs bhī āhista se na luuñ 'tābish'
mire badan meñ darāḌeñ sī paḌne lagtī haiñ
isi liye to ye shamen ujaDne lagti hain
ki lau baDha ke hawaen sukaDne lagti hain
main kaise apne tawazun ko barqarar rakhun
qadam jamaun to sansen ukhaDne lagti hain
yunhi nahin mujhe dariya ko dekhne se gurez
suna hai pani mein shaklen bigaDne lagti hain
isi liye to hawa apne ghar nahin jati
ki us ke ba'd ye galiyan ujaDne lagti hain
rahen KHamosh to honTon se KHun Tapakta hai
karen kalam to khaalen udhaDne lagti hain
agar main sans bhi aahista se na lun 'tabish'
mere badan mein daraDen si paDne lagti hain
- Book : Agar Main Sher Na Kahta (Pg. 67)
- Author : Abbas Tabish
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.