itna aahista kabhi KHwab-e-sahar TuTta hai
itnā āhista kabhī ḳhvāb-e-sahar TūTtā hai
jis tarah niiñd kī golī kā asar TūTtā hai
toḌnā haath baḌhā kar hī nahīñ hai lāzim
pak chukā ho to havā se bhī samar TūTtā hai
aa.ina jhāñk rahā hai mire andar shāyad
is taraf 'aks ubhartā hai udhar TūTtā hai
nashsha-e-mai ke utarte bhī taḌaptā hai badan
kis aziyyat se magar nashsha-e-zar TūTtā hai
shahr-e-dil meñ bhī ka.ī zalzale aate haiñ magar
koī dīvār hī girtī hai na dar TūTtā hai
zulm baḌh jaa.e to rahtī nahīñ qudrat ḳhāmosh
ham samajhte to nahīñ qahr magar TūTtā hai
log be-his haiñ ki mātam nahīñ karte 'āsim'
shahr meñ roz koī dast-e-hunar TūTtā hai
itna aahista kabhi KHwab-e-sahar TuTta hai
jis tarah nind ki goli ka asar TuTta hai
toDna hath baDha kar hi nahin hai lazim
pak chuka ho to hawa se bhi samar TuTta hai
aaina jhank raha hai mere andar shayad
is taraf 'aks ubharta hai udhar TuTta hai
nashsha-e-mai ke utarte bhi taDapta hai badan
kis aziyyat se magar nashsha-e-zar TuTta hai
shahr-e-dil mein bhi kai zalzale aate hain magar
koi diwar hi girti hai na dar TuTta hai
zulm baDh jae to rahti nahin qudrat KHamosh
hum samajhte to nahin qahr magar TuTta hai
log be-his hain ki matam nahin karte 'asim'
shahr mein roz koi dast-e-hunar TuTta hai
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 77)
- Author :Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.