Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

itna tanhai se ghabrane lage hain

Shariq Kaifi

itna tanhai se ghabrane lage hain

Shariq Kaifi

MORE BYShariq Kaifi

    itnā tanhā.ī se ghabrāne lage haiñ

    be-zarūrat kaam uljhāne lage haiñ

    jo bhañvar gahrā.ī meñ paḌte the pahle

    ab kināre par nazar aane lage haiñ

    koī to manzil rasta hai idhar se

    rāste ghar taraf jaane lage haiñ

    yuuñ bhī lāzim hai nayā koī tamāsha

    log bāzīgar se uktāne lage haiñ

    jo tire kūche ko jaate the vo raste

    dūsrī duniyā meñ le jaane lage haiñ

    ho gayā hai maut ehsās shāyad

    jaldī jaldī kaam nimTāne lage haiñ

    itna tanhai se ghabrane lage hain

    be-zarurat kaam uljhane lage hain

    jo bhanwar gahrai mein paDte the pahle

    ab kinare par nazar aane lage hain

    koi to manzil ka rasta hai idhar se

    raste ghar ki taraf jaane lage hain

    yun bhi lazim hai naya koi tamasha

    log bazigar se uktane lage hain

    jo tere kuche ko jate the wo raste

    dusri duniya mein le jaane lage hain

    ho gaya hai maut ka ehsas shayad

    jaldi jaldi kaam nimTane lage hain

    Source:

    Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 83)

    • Author: Shariq Kaifi
      • Edition: First
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2019
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now