itne bhi gham nahin the dil-e-dagh-dar mein

itne bhi gham nahin the dil-e-dagh-dar mein
Sagar Sahab Badayuni
MORE BYSagar Sahab Badayuni
itne bhī ġham nahīñ the dil-e-dāġh-dār meñ
jitne lagā diye haiñ mujhe ek baar meñ
nāchīz ko zarā sī tavajjoh to dījiye
ġhazleñ kabhī kabhī to likhe haiñ buḳhār meñ
jhūTī ḳhabar thī maut kī so kaam kar ga.ī
chhapvā raheñ haiñ apne sabhī ishtihār meñ
dāḌhī safed baal baḌe aañkh laal hai
kyā haal ho gayā hai tire intizār meñ
aane ko lauTne kā vo ab man nahīñ rahā
tujh meñ bhī dam rahā na tirī is pukār meñ
itne bhi gham nahin the dil-e-dagh-dar mein
jitne laga diye hain mujhe ek bar mein
nachiz ko zara si tawajjoh to dijiye
ghazlen kabhi kabhi to likhe hain buKHar mein
jhuTi KHabar thi maut ki so kaam kar gai
chhapwa rahen hain apne sabhi ishtihaar mein
daDhi safed baal baDe aankh lal hai
kya haal ho gaya hai tere intizar mein
aane ko lauTne ka wo ab man nahin raha
tujh mein bhi dam raha na teri is pukar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.