Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jadu se nikala hai na mantar se nikala

Shiv Om Misra Anvar

jadu se nikala hai na mantar se nikala

Shiv Om Misra Anvar

MORE BYShiv Om Misra Anvar

    jaadū se nikālā hai na mantar se nikālā

    ye ism-o-sifat lafz ke andar se nikālā

    mehnat mujhe ḳhuub ye sauġhāt milī hai

    ik gauhar-e-nāyāb samundar se nikālā

    kam-zarf zamāne safāhat gilā kyā

    muñh ham ne na phir qabr chādar se nikālā

    ThanDā na kar deñ kahīñ mai-kash ko havā.eñ

    garmī ko to phir shīsha-o-sāġhar se nikālā

    sāzish koī le jaa.e na mujh ko kisī lamhe

    rozī ke liye maiñ ne qadam ghar se nikālā

    shāyad mirī tanhā.ī ko samjhā hai havā ne

    ik giit nayā pattoñ sarsar se nikālā

    ye soch ke saa.e meñ safar ḳhatm na ho jaa.e

    sahrā patā dhuup ke andar se nikālā

    itne bhī alam-nāk na the shaam ke saa.e

    kis vahm ḳhātir ye junūñ sar se nikālā

    jadu se nikala hai na mantar se nikala

    ye ism-o-sifat lafz ke andar se nikala

    mehnat ki mujhe KHub ye saughat mili hai

    ek gauhar-e-nayab samundar se nikala

    kam-zarf zamane ki safahat ka gila kya

    munh hum ne na phir qabr ki chadar se nikala

    ThanDa hi na kar den kahin mai-kash ko hawaen

    garmi ko to phir shisha-o-saghar se nikala

    sazish koi le jae na mujh ko kisi lamhe

    rozi ke liye main ne qadam ghar se nikala

    shayad meri tanhai ko samjha hai hawa ne

    ek git naya patton ki sarsar se nikala

    ye soch ke sae mein safar KHatm na ho jae

    sahra ka pata dhup ke andar se nikala

    itne bhi alam-nak na the sham ke sae

    kis wahm ki KHatir ye junun sar se nikala

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now