jagta aur jagmagata shahr suna ho gaya
jāgtā aur jagmagātā shahr suunā ho gayā
yaad kyā us shaḳhs kī aa.ī maiñ tanhā ho gayā
raat paḌhne meñ huiiñ mashġhūl āñkheñ is qadar
niiñd ne jab un pe dastak dī saverā ho gayā
husn kā paiġhām laa.ī sub.h kī pahlī kiran
saarā manzar dasht-o-dariyā kā rupahlā ho gayā
chun liyā jis ko parindoñ ne basere ke liye
ḳhud-baḳhud is peḌ kā saaya ghanerā ho gayā
aarzū ūñchā.iyāñ chhūne kī thī jis shaḳhs ko
ek din itnā huā ūñchā ki tanhā ho gayā
soch kī tabdīliyoñ kī gard jab is par paḌī
rafta rafta pairahan lafzoñ kā mailā ho gayā
sāda-dil logoñ ke jazboñ ko ubhārā is tarah
ham-navā 'manzar' mirā saarā qabīla ho gayā
jagta aur jagmagata shahr suna ho gaya
yaad kya us shaKHs ki aai main tanha ho gaya
raat paDhne mein huin mashghul aankhen is qadar
nind ne jab un pe dastak di sawera ho gaya
husn ka paigham lai subh ki pahli kiran
sara manzar dasht-o-dariya ka rupahla ho gaya
chun liya jis ko parindon ne basere ke liye
KHud-baKHud is peD ka saya ghanera ho gaya
aarzu unchaiyan chhune ki thi jis shaKHs ko
ek din itna hua uncha ki tanha ho gaya
soch ki tabdiliyon ki gard jab is par paDi
rafta rafta pairahan lafzon ka maila ho gaya
sada-dil logon ke jazbon ko ubhaara is tarah
ham-nawa 'manzar' mera sara qabila ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.