jagte mein raat bhar wo jalwa-e-mahtab dekho
jāgte meñ raat bhar vo jalva-e-mahtāb dekho
aañkh lag jaa.e to phir us māh-rū kā ḳhvāb dekho
jaan jaao asl kī maujūdgī kā bhed saarā
dhyān se bahtī huī gangā kā Thahrā aab dekho
dekh lo tum hī to ho maujūd kaise bāhar andar
dil ko dariyā kar ke ḳhud ko is meñ kar ġharqāb dekho
mat Daro 'ġhālib' kī niyyat hī meñ koī chor hogā
merī maano paañv us sīmīñ-badan ke daab dekho
jism kī lazzat nahīñ hai ruuh kī lazzat se ḳhālī
jism ko bhī dekhne ke haiñ magar ādāb dekho
shā'irī ujḌe makāñ kā aa.ina hī to hai 'sānī'
is meñ basne vaale logoñ ko kahāñ shādāb dekho
jagte mein raat bhar wo jalwa-e-mahtab dekho
aankh lag jae to phir us mah-ru ka KHwab dekho
jaan jao asl ki maujudgi ka bhed sara
dhyan se bahti hui ganga ka Thahra aab dekho
dekh lo tum hi to ho maujud kaise bahar andar
dil ko dariya kar ke KHud ko is mein kar gharqab dekho
mat Daro 'ghaalib' ki niyyat hi mein koi chor hoga
meri mano panw us simin-badan ke dab dekho
jism ki lazzat nahin hai ruh ki lazzat se KHali
jism ko bhi dekhne ke hain magar aadab dekho
sha'iri ujDe makan ka aaina hi to hai 'sani'
is mein basne wale logon ko kahan shadab dekho
- Book : Maujood Ki Nisbat Se (Pg. 80)
- Author : Mahendra Kumar Sani
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.