jagte mein sula diya hai mujhe
jāgte meñ sulā diyā hai mujhe
dil ne itnā thakā diyā hai mujhe
shahr-e-ḳhāmosh tere lahn kī ḳhair
tū ne lahja nayā diyā hai mujhe
merī āñkhoñ ne kho diyā thā jo ḳhvāb
terī āñkhoñ ne lā diyā hai mujhe
kaisī gardish thī kaisī laġhzish thī
ḳhaak par se uThā diyā hai mujhe
pahle maiñ ne diyā gañvāyā thā
ab diye ne gañvā diyā hai mujhe
dasht-o-dariyā ne mujh se mil mil kar
apne jaisā banā diyā hai mujhe
us ne ik baaġh meñ bulāyā hai
aur dil kā pata diyā hai mujhe
jagte mein sula diya hai mujhe
dil ne itna thaka diya hai mujhe
shahr-e-KHamosh tere lahn ki KHair
tu ne lahja naya diya hai mujhe
meri aankhon ne kho diya tha jo KHwab
teri aankhon ne la diya hai mujhe
kaisi gardish thi kaisi laghzish thi
KHak par se uTha diya hai mujhe
pahle main ne diya ganwaya tha
ab diye ne ganwa diya hai mujhe
dasht-o-dariya ne mujh se mil mil kar
apne jaisa bana diya hai mujhe
us ne ek bagh mein bulaya hai
aur dil ka pata diya hai mujhe
- Book : Shaam Ke Baad Kuch Nahin (Pg. 50)
- Author :Shaheen Abbas
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.