jaan lega KHudi ko gar sadhu
jaan legā ḳhudī ko gar sādhū
pā.egā tū ḳhudā kā ghar sādhū
terī muTThī meñ āsmāñ hogā
fat.h tū apne dil pe kar sādhū
apnī hastī ko iḳhtiyār meñ rakh
kaam āsāñ nahīñ magar sādhū
haath aa kar bhī chhūT jā.egī
chiiz pe jhapTegā agar sādhū
dekhne bhar kā ek mela hai
dekh le aur jā guzar sādhū
apnī manzil kā rāsta ban jā
jaan le jaanā hai kidhar sādhū
jaan lega KHudi ko gar sadhu
paega tu KHuda ka ghar sadhu
teri muTThi mein aasman hoga
fath tu apne dil pe kar sadhu
apni hasti ko iKHtiyar mein rakh
kaam aasan nahin magar sadhu
hath aa kar bhi chhuT jaegi
chiz pe jhapTega agar sadhu
dekhne bhar ka ek mela hai
dekh le aur ja guzar sadhu
apni manzil ka rasta ban ja
jaan le jaana hai kidhar sadhu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.