Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jaan-lewa hai pyar ka saya

Sarfraz Khan Vaqar

jaan-lewa hai pyar ka saya

Sarfraz Khan Vaqar

MORE BYSarfraz Khan Vaqar

    jān-levā hai pyaar saaya

    aap ke intizār saaya

    aur detā hai mere ġham ko havā

    ham-nashīñ ġham-gusār saaya

    ho rahī hai jo aaj dil meñ chubhan

    paḌ gayā hogā ḳhaar saaya

    janm detā hai nuur vāloñ ko

    tīrgī ke hisār saaya

    dard bhar de diloñ meñ logoñ ke

    hai sitamgar kahār saaya

    duur kar de qarīb vāloñ ko

    bartarī ke ḳhumār saaya

    ruḳh badal de ḳhizāñ ke mausam

    chhā.e jab bhī bahār saaya

    naam raushan kare zamāne meñ

    ilm-o-fan ke nikhār saaya

    shaḳhsiyat ko zalīl kartā hai

    jhūTe fan ke ġhubār saaya

    nuur laa.e adab duniyā meñ

    ban ke sūraj 'vaqār' saaya

    jaan-lewa hai pyar ka saya

    aap ke intizar ka saya

    aur deta hai mere gham ko hawa

    ham-nashin gham-gusar ka saya

    ho rahi hai jo aaj dil mein chubhan

    paD gaya hoga KHar ka saya

    janm deta hai nur walon ko

    tirgi ke hisar ka saya

    dard bhar de dilon mein logon ke

    hai sitamgar kahaar ka saya

    dur kar de qarib walon ko

    bartari ke KHumar ka saya

    ruKH badal de KHizan ke mausam ka

    chhae jab bhi bahaar ka saya

    nam raushan kare zamane mein

    ilm-o-fan ke nikhaar ka saya

    shaKHsiyat ko zalil karta hai

    jhuTe fan ke ghubar ka saya

    nur lae adab ki duniya mein

    ban ke suraj 'waqar' ka saya

    Source:

    Ghazlistan-e-Barar (Pg. 235)

      • Publisher: Sajid Urdu Press, Akola
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now