jaan nikalni thi mujhe dard se mar jaana tha
jaañ nikalnī thī mujhe dard se mar jaanā thā
ek din ret se rishte ko bikhar jaanā thā
mo'tabar ho na sakā 'ishq na duniyā chhūTī
haañ mujhe aisī aziyyat se guzar jaanā thā
jis ghaḌī pūchh rahā thā vo mire dil kā 'ilāj
ai mirī aañkh tujhe ḳhuun se bhar jaanā thā
ab ke vahshat ne mujhe rok liyā hai varna
pichhle mausam kī tarah lauT ke ghar jaanā thā
apne aañsū ko na rusvā kiyā hotā maiñ ne
mujh ko lahroñ kī tarah ḳhud meñ utar jaanā thā
jaan nikalni thi mujhe dard se mar jaana tha
ek din ret se rishte ko bikhar jaana tha
mo'tabar ho na saka 'ishq na duniya chhuTi
han mujhe aisi aziyyat se guzar jaana tha
jis ghaDi puchh raha tha wo mere dil ka 'ilaj
ai meri aankh tujhe KHun se bhar jaana tha
ab ke wahshat ne mujhe rok liya hai warna
pichhle mausam ki tarah lauT ke ghar jaana tha
apne aansu ko na ruswa kiya hota main ne
mujh ko lahron ki tarah KHud mein utar jaana tha
- Book : Ishq (Pg. 62)
- Author : Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.