aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jaane kis ki thi KHata yaad nahin

Sufi Tabassum

jaane kis ki thi KHata yaad nahin

Sufi Tabassum

MORE BYSufi Tabassum

    jaane kis thī ḳhatā yaad nahīñ

    ham hue kaise judā yaad nahīñ

    ek sho.ala uThā thā dil meñ

    jaane kis thī sadā yaad nahīñ

    ek naġhma sunā thā maiñ ne

    kaun thā sho.ala-navā yaad nahīñ

    roz dohrāte the afsāna-e-dil

    kis tarah bhuul gayā yaad nahīñ

    ik faqat yaad hai jaanā un

    aur kuchh is ke sivā yaad nahīñ

    mirī jān-e-tamannā thī kabhī

    ai mirī jān-e-vafā yaad nahīñ

    ham bhī the terī tarah āvāra

    kyā tujhe bād-e-sabā yaad nahīñ

    ham bhī the terī navāoñ meñ sharīk

    tā.ir-e-naġhma-sarā yaad nahīñ

    hāl-e-dil kaise 'tabassum' ho bayāñ

    jaane kyā yaad hai kyā yaad nahīñ

    jaane kis ki thi KHata yaad nahin

    hum hue kaise juda yaad nahin

    ek shoala sa uTha tha dil mein

    jaane kis ki thi sada yaad nahin

    ek naghma sa suna tha main ne

    kaun tha shoala-nawa yaad nahin

    roz dohraate the afsana-e-dil

    kis tarah bhul gaya yaad nahin

    ek faqat yaad hai jaana un ka

    aur kuchh is ke siwa yaad nahin

    tu meri jaan-e-tamanna thi kabhi

    ai meri jaan-e-wafa yaad nahin

    hum bhi the teri tarah aawara

    kya tujhe baad-e-saba yaad nahin

    hum bhi the teri nawaon mein sharik

    tair-e-naghma-sara yaad nahin

    haal-e-dil kaise 'tabassum' ho bayan

    jaane kya yaad hai kya yaad nahin

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Farida Khanum

    Farida Khanum

    Source:

    sau-e-baar-e-chaman mahka (Pg. 133)

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now