jaane kis shai ke talabgar hue jate hain
jaane kis shai ke talabgār hue jaate haiñ
khel hī khel meñ bīmār hue jaate haiñ
qāfila dard kā chehre se guzar jaatā hai
zabt karte haiñ to iz.hār hue jaate haiñ
kaun se ḳhvāb sajā baiThe haiñ ham āñkhoñ meñ
kin umīdoñ ke giraftār hue jaate haiñ
din guzartā hai 'abas raat guzar jaatī hai
rafta-rafta yuñhī bekār hue jaate haiñ
rāste jo kabhī hamvār nazar aate the
dekhte dekhte dushvār hue jaate haiñ
tauba karnā jo zarūrī hai 'ibādat ke liye
to ḳhatā kar ke gunahgār hue jaate haiñ
jaane kis shai ke talabgar hue jate hain
khel hi khel mein bimar hue jate hain
qafila dard ka chehre se guzar jata hai
zabt karte hain to izhaar hue jate hain
kaun se KHwab saja baiThe hain hum aankhon mein
kin umidon ke giraftar hue jate hain
din guzarta hai 'abas raat guzar jati hai
rafta-rafta yunhi bekar hue jate hain
raste jo kabhi hamwar nazar aate the
dekhte dekhte dushwar hue jate hain
tauba karna jo zaruri hai 'ibaadat ke liye
to KHata kar ke gunahgar hue jate hain
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 60)
- Author :Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.