jaane kya unki nazar kah gai diwanon ko
jaane kyā un kī nazar kah ga.ī dīvānoñ ko
apne hāthoñ se chhupā.e haiñ garebānoñ ko
zindagī ab mirī is tarh basar hotī hai
hasrateñ jāgīñ to niiñd aa ga.ī armānoñ ko
tang-dil kitne haiñ ab log zarā dekho to
pī ke ḳhud toḌ diyā karte haiñ paimānoñ ko
ik udāsī kā jo 'ālam hai hamāre ghar meñ
vo mayassar hai na sahrā na bayābānoñ ko
ye adā.eñ tirī bach bach ke guzarne kī jo haiñ
aur dīvāna na kar deñ tire dīvānoñ ko
aaj jo ġhair haiñ kal dost bhī ho sakte haiñ
itnī nafrat se na dekhā karo begānoñ ko
kyā Darā.eñgī use ġham kī havā.eñ 'arshad'
jis ne siine meñ chhupā rakkhā ho tūfānoñ ko
jaane kya un ki nazar kah gai diwanon ko
apne hathon se chhupae hain garebanon ko
zindagi ab meri is tarh basar hoti hai
hasraten jagin to nind aa gai armanon ko
tang-dil kitne hain ab log zara dekho to
pi ke KHud toD diya karte hain paimanon ko
ek udasi ka jo 'alam hai hamare ghar mein
wo mayassar hai na sahra na bayabanon ko
ye adaen teri bach bach ke guzarne ki jo hain
aur diwana na kar den tere diwanon ko
aaj jo ghair hain kal dost bhi ho sakte hain
itni nafrat se na dekha karo beganon ko
kya Daraengi use gham ki hawaen 'arshad'
jis ne sine mein chhupa rakkha ho tufanon ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.