jab aasman ka samjhe nahin ishaara tum
jab āsmān kā samjhe nahīñ ishāra tum
to phir zamīñ ko kahāñ rah sake gavāra tum
tumhārī ḳhalq kā sab se haqīr zarra ham
hamāre charḳh kā sab se hasīñ sitāra tum
ab is ke baa'd hameñ diid kī nahīñ hājat
nazar ke vāste ho āḳhirī nazāra tum
baḌhā ke qurbateñ bīmār kar diyā ham ko
ab aa ke haal bhī pūchho kabhī hamārā tum
tumhārī aag meñ jalte hue sarāpā ham
hamārī raakh se uThtā huā sharāra tum
tumhārī baat pe ham ko hañsī sī aatī hai
hamārā haal na pūchhā karo ḳhudārā tum
hamārā saath bahut mo'tabar nahīñ phir bhī
hamāre saath meñ karte raho guzāra tum
jab aasman ka samjhe nahin ishaara tum
to phir zamin ko kahan rah sake gawara tum
tumhaari KHalq ka sab se haqir zarra hum
hamare charKH ka sab se hasin sitara tum
ab is ke ba'd hamein did ki nahin hajat
nazar ke waste ho aaKHiri nazara tum
baDha ke qurbaten bimar kar diya hum ko
ab aa ke haal bhi puchho kabhi hamara tum
tumhaari aag mein jalte hue sarapa hum
hamari rakh se uThta hua sharara tum
tumhaari baat pe hum ko hansi si aati hai
hamara haal na puchha karo KHudara tum
hamara sath bahut mo'tabar nahin phir bhi
hamare sath mein karte raho guzara tum
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 59)
- Author : Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.