jab bhi khulti hai wo yaadon ki gali sham ke baad

jab bhi khulti hai wo yaadon ki gali sham ke baad
Rasheed Sandeelvi
MORE BYRasheed Sandeelvi
jab bhī khultī hai vo yādoñ kī galī shaam ke baa'd
ḳhatm hotī nahīñ ashkoñ kī jhaḌī shaam ke baa'd
din to merā bhī guzar jaatā hai ahbāb ke saath
sirf kaTtī hī nahīñ tīra-shabī shaam ke baa'd
ghar ke vīrāne meñ hotā hai bahāroñ kā nuzūl
baat jab kartī hai tasvīr tirī shaam ke baa'd
yaad aatā hai mujhe jab bhī bichhaḌnā terā
rok saktā nahīñ āñkhoñ meñ namī shaam ke baa'd
din nikaltā hai to rahtā huuñ kisī jangal meñ
mere āñgan meñ utartī hai parī shaam ke baa'd
jab bhi khulti hai wo yaadon ki gali sham ke ba'd
KHatm hoti nahin ashkon ki jhaDi sham ke ba'd
din to mera bhi guzar jata hai ahbab ke sath
sirf kaTti hi nahin tira-shabi sham ke ba'd
ghar ke virane mein hota hai bahaaron ka nuzul
baat jab karti hai taswir teri sham ke ba'd
yaad aata hai mujhe jab bhi bichhaDna tera
rok sakta nahin aankhon mein nami sham ke ba'd
din nikalta hai to rahta hun kisi jangal mein
mere aangan mein utarti hai pari sham ke ba'd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.