Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab ek KHauf sa marne ka sar pe baiTh gaya

Yasmeen Sahar

jab ek KHauf sa marne ka sar pe baiTh gaya

Yasmeen Sahar

MORE BYYasmeen Sahar

    jab ek ḳhauf marne sar pe baiTh gayā

    ajiib saaya nahūsat ghar pe baiTh gayā

    yahī kahānī thī bas apnī bādshāhat

    faqīr ek uThā ek dar pe baiTh gayā

    kahīñ to shahr meñ an-ban kisī ke saath huī

    jo duniyā chhoḌ ke saarī vo ghar pe baiTh gayā

    takallufāt meñ kuchh to lihāz baaqī thā

    zarā Dhiil bhī kyā vo sar pe baiTh gayā

    kisī jhūTī uḌaa.ī huī baat sunī

    zamāna kaan lagā kar ḳhabar pe baiTh gayā

    savār ham hue aise havā ke kāñdhe par

    hamārā paañv bhī jaise safar pe baiTh gayā

    jab ek KHauf sa marne ka sar pe baiTh gaya

    ajib saya nahusat ka ghar pe baiTh gaya

    yahi kahani thi bas apni baadshahat ki

    faqir ek uTha ek dar pe baiTh gaya

    kahin to shahr mein an-ban kisi ke sath hui

    jo duniya chhoD ke sari wo ghar pe baiTh gaya

    takallufat mein kuchh to lihaz baqi tha

    zara si Dhil bhi kya di wo sar pe baiTh gaya

    kisi ki jhuTi uDai hui si baat suni

    zamana kan laga kar KHabar pe baiTh gaya

    sawar hum hue aise hawa ke kandhe par

    hamara panw bhi jaise safar pe baiTh gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now