Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab kabhi zaKHm shanasai ke bhar jate hain

Shariq Kaifi

jab kabhi zaKHm shanasai ke bhar jate hain

Shariq Kaifi

MORE BYShariq Kaifi

    jab kabhī zaḳhm shanāsā.ī ke bhar jaate haiñ

    us galiyoñ se guzarte hue ghar jaate haiñ

    jo zarūrī thā vahī bhūlnā ham bhuul ga.e

    rāsta band agar ho to kidhar jaate haiñ

    aur to ḳhauf nahīñ ham ko kisī lekin

    koī apnā nazar aa.e to Dar jaate haiñ

    kisī tūfān afvāh uḌātā hai koī

    aur ham Dar ke kināre pe utar jaate haiñ

    jaan de kar bhī tirā vā'da nibhāne vaale

    tere haq meñ koī achchhā nahīñ kar jaate haiñ

    sab ke kahne pe bahut hausla karte haiñ to ham

    had se had us ke barābar se guzar jaate haiñ

    Thiik se zaḳhm andāza kiyā hai kis ne

    bas sunā thā ki bichhaḌte haiñ to mar jaate haiñ

    ham bichhaḌ kar bhī jiyeñge ye tasavvur na thā

    kyā ḳhabar thī ki ye lamhe bhī guzar jaate haiñ

    raah chalte jo kuchh ik pal ko nazar aa.e the

    qurbateñ hoñ to vahī rang Thahar jaate haiñ

    jaane kyoñ sochtā rahtā huuñ musalsal jis ko

    zehn se us ke ḳhad-o-ḳhāl utar jaate haiñ

    ab to har zaḳhm nayā ek na.ī rāhat hai

    ek baar aa ke kahīñ aise hunar jaate haiñ

    jab kabhi zaKHm shanasai ke bhar jate hain

    us ki galiyon se guzarte hue ghar jate hain

    jo zaruri tha wahi bhulna hum bhul gae

    rasta band agar ho to kidhar jate hain

    aur to KHauf nahin hum ko kisi ka lekin

    koi apna sa nazar aae to Dar jate hain

    kisi tufan ki afwah uData hai koi

    aur hum Dar ke kinare pe utar jate hain

    jaan de kar bhi tera wa'da nibhane wale

    tere haq mein koi achchha nahin kar jate hain

    sab ke kahne pe bahut hausla karte hain to hum

    had se had us ke barabar se guzar jate hain

    Thik se zaKHm ka andaza kiya hai kis ne

    bas suna tha ki bichhaDte hain to mar jate hain

    hum bichhaD kar bhi jiyenge ye tasawwur hi na tha

    kya KHabar thi ki ye lamhe bhi guzar jate hain

    rah chalte jo kuchh ek pal ko nazar aae the

    qurbaten hon to wahi rang Thahar jate hain

    jaane kyon sochta rahta hun musalsal jis ko

    zehn se us ke KHad-o-KHal utar jate hain

    ab to har zaKHm naya ek nai rahat hai

    ek bar aa ke kahin aise hunar jate hain

    Source :
    • Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 42)
    • Author : Shariq Kaifi
    • Publication : Rekhta Publications (2022)
    • Edition : 3rd
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now