jab kisi jaanib na rasta jaega
jab kisī jānib na rasta jā.egā
phir musāfir se na Thahrā jā.egā
is salīb-e-jism par ai zindagī
tujh ko kitnī der khīñchā jā.egā
ashk ban kar aañkh se girtā hai kyoñ
dard ho jā dil meñ rakkhā jā.egā
kis ko fursat dekhne kī hai abhī
bujh ga.iiñ āñkheñ to dekhā jā.egā
is tilism-e-ārzū meñ ham-nafas
jiinā chāhegā to maarā jā.egā
jab kisi jaanib na rasta jaega
phir musafir se na Thahra jaega
is salib-e-jism par ai zindagi
tujh ko kitni der khincha jaega
ashk ban kar aankh se girta hai kyon
dard ho ja dil mein rakkha jaega
kis ko fursat dekhne ki hai abhi
bujh gain aankhen to dekha jaega
is tilism-e-arzu mein ham-nafas
jina chahega to mara jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.