jab lahu aankhon se chhilke to ghazal hoti hai
jab lahū āñkhoñ se chhilke to ġhazal hotī hai
dil meñ armāñ koī machle to ġhazal hotī hai
jazba-e-'ishq meñ Duubā vo ḳhayāloñ kā badan
karvaTeñ aag pe badle to ġhazal hotī hai
garmī-e-husn kī vo taab ġhazal hī jaane
zer-e-pā sang jo pighle to ġhazal hotī hai
shauq-e-dīdār-e-junūñ aur nigāheñ muztar
chāñd jab din meñ bhī nikle to ġhazal hotī hai
qurbateñ aisī ki dāman na garebāñ baaqī
jism jab saañs se pighle to ġhazal hotī hai
us ke andāz se āvāz se har saaz baje
dil vo chuTkī se jo masle to ġhazal hotī hai
jab lahu aankhon se chhilke to ghazal hoti hai
dil mein arman koi machle to ghazal hoti hai
jazba-e-'ishq mein Duba wo KHayalon ka badan
karwaTen aag pe badle to ghazal hoti hai
garmi-e-husn ki wo tab ghazal hi jaane
zer-e-pa sang jo pighle to ghazal hoti hai
shauq-e-didar-e-junun aur nigahen muztar
chand jab din mein bhi nikle to ghazal hoti hai
qurbaten aisi ki daman na gareban baqi
jism jab sans se pighle to ghazal hoti hai
us ke andaz se aawaz se har saz baje
dil wo chuTki se jo masle to ghazal hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.