Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab mile hai puchhta tum kaun ho tum kaun ho

Anwar Sheikh

jab mile hai puchhta tum kaun ho tum kaun ho

Anwar Sheikh

MORE BYAnwar Sheikh

    jab mile hai pūchhtā tum kaun ho tum kaun ho

    aah ye kaisī adā tum kaun ho tum kaun ho

    daur-e-mushkil meñ gila aġhyār kaise karūñ

    jab kahe ye āshnā tum kaun ho tum kaun ho

    mālik-e-kursī thā to karte the jo jhuk kar salām

    vo kaheñ jab se girā tum kaun ho tum kaun ho

    jab kahā chāhat adū se asl meñ tauhīn-e-ishq

    bevafā kahne lagā tum kaun ho tum kaun ho

    chāhe jab phuslā.e mujh ko chāhūñ maiñ kuchh bhī agar

    to kahe ye mah-laqā tum kaun ho tum kaun ho

    dil hai asl-e-zindagī dene se pahle ġhair ko

    pūchhne meñ kyā burā tum kaun ho tum kaun ho

    banda-e-nāchīz aisā yaum-e-mahshar ko agar

    kyā ajab pūchhe ḳhudā tum kaun ho tum kaun ho

    jab kahā japte haiñ maalā ham to tere naam

    hañs ke us ne kah diyā tum kaun ho tum kaun ho

    dil meñ tasvīr-e-sanam hoñToñ pe hai nām-e-ḳhudā

    maiñ sunūñ har dam sadā tum kaun ho tum kaun ho

    va.ada-e-bosa kiyā lekin evaz meñ chapat

    aur naḳhvat se kahā tum kaun ho tum kaun ho

    āshiqī maslak vo 'anvar' jis meñ do bante haiñ ek

    ye gunah hai pūchhnā tum kaun ho tam kaun ho

    jab mile hai puchhta tum kaun ho tum kaun ho

    aah ye kaisi ada tum kaun ho tum kaun ho

    daur-e-mushkil mein gila aghyar ka kaise karun

    jab kahe ye aashna tum kaun ho tum kaun ho

    malik-e-kursi tha to karte the jo jhuk kar salam

    wo kahen jab se gira tum kaun ho tum kaun ho

    jab kaha chahat adu se asl mein tauhin-e-ishq

    bewafa kahne laga tum kaun ho tum kaun ho

    chahe jab phuslae mujh ko chahun main kuchh bhi agar

    to kahe ye mah-laqa tum kaun ho tum kaun ho

    dil hai asl-e-zindagi dene se pahle ghair ko

    puchhne mein kya bura tum kaun ho tum kaun ho

    banda-e-nachiz aisa yaum-e-mahshar ko agar

    kya ajab puchhe KHuda tum kaun ho tum kaun ho

    jab kaha japte hain mala hum to tere nam ki

    hans ke us ne kah diya tum kaun ho tum kaun ho

    dil mein taswir-e-sanam honTon pe hai nam-e-KHuda

    main sunun har dam sada tum kaun ho tum kaun ho

    wada-e-bosa kiya lekin ewaz mein di chapat

    aur naKHwat se kaha tum kaun ho tum kaun ho

    aashiqi maslak wo 'anwar' jis mein do bante hain ek

    ye gunah hai puchhna tum kaun ho tam kaun ho

    Source:

    Nawa-e-Dil (Pg. 18)

    • Author: Anwar Sheikh
      • Publisher: M. R. Offset Press, Delhi
      • Year of Publication: 2003
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now