Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab nazar uTThi thi apne ghar taraf

Aleem Saba Navedi

jab nazar uTThi thi apne ghar taraf

Aleem Saba Navedi

MORE BYAleem Saba Navedi

    jab nazar uTThī thī apne ghar taraf

    saarī ḳhushiyāñ ho ga.ī thiiñ bartaraf

    roz-o-shab ubhrī haiñ sach manzileñ

    apne andar ke hasīñ manzar taraf

    phir kuñvārī rut ke hāthoñ thā ḳhumār

    phir mahaktī Tahniyāñ thiiñ har taraf

    merī apnī zaat hai ye shanāḳht

    haiñ nigāheñ masnad-e-anvar taraf

    āsmāñ se milī dīvāngī

    ek patthar aur mere sar taraf

    jāgte rahne ke fan meñ taaq huuñ

    kyoñ thakan le jā.egī bistar taraf

    jab nazar uTThi thi apne ghar taraf

    sari KHushiyan ho gai thin bartaraf

    roz-o-shab ubhri hain sach ki manzilen

    apne andar ke hasin manzar taraf

    phir kunwari rut ke hathon tha KHumar

    phir mahakti Tahniyan thin har taraf

    meri apni zat ki hai ye shanaKHt

    hain nigahen masnad-e-anwar taraf

    aasman se ja mili diwangi

    ek patthar aur mere sar taraf

    jagte rahne ke fan mein taq hun

    kyon thakan le jaegi bistar taraf

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now