jab parindon ne par nikale hain
jab parindoñ ne par nikāle haiñ
merī āñkhoñ ne daane Daale haiñ
vo mire dil meñ zahr bhar degā
us ne āñkhoñ meñ saañp paale haiñ
ham ko tanhā.iyoñ kā Dar na batā
ham ne curfew meñ din nikāle haiñ
yuuñ hī manzil nahīñ milī baabā
paañv meñ dekh kitne chhāle haiñ
'umr guzrī hai shahr meñ lekin
ham 'ḳhalīl' ab bhī gaañv vaale haiñ
jab parindon ne par nikale hain
meri aankhon ne dane Dale hain
wo mere dil mein zahr bhar dega
us ne aankhon mein sanp pale hain
hum ko tanhaiyon ka Dar na bata
hum ne curfew mein din nikale hain
yun hi manzil nahin mili baba
panw mein dekh kitne chhaale hain
'umr guzri hai shahr mein lekin
hum 'KHalil' ab bhi ganw wale hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.