jab sahil ka dhoka sahil ho jata hai
jab sāhil kā dhokā sāhil ho jaatā hai
paar utarnā aur bhī mushkil ho jaatā hai
ik din itnī bhiiḌ juTā letī hai shohrat
apnā qātil us meñ shāmil ho jaatā hai
maut ke din se kyoñ Dartā thā yuuñ Dartā thā
jis ko dekho ghar meñ dāḳhil ho jaatā hai
koī bhī achchhī baat yahāñ bas kaan meñ kahnā
bīmāroñ ko marnā mushkil ho jaatā hai
ye mahrūmī aur tarah kī mahrūmī hai
sab kuchh vaqt se pahle hāsil ho jaatā hai
saarī haqīqat khul jaatī hai dānā.ī kī
jis din ik gumrāh muqābil ho jaatā hai
jab sahil ka dhoka sahil ho jata hai
par utarna aur bhi mushkil ho jata hai
ek din itni bhiD juTa leti hai shohrat
apna qatil us mein shamil ho jata hai
maut ke din se kyon Darta tha yun Darta tha
jis ko dekho ghar mein daKHil ho jata hai
koi bhi achchhi baat yahan bas kan mein kahna
bimaron ko marna mushkil ho jata hai
ye mahrumi aur tarah ki mahrumi hai
sab kuchh waqt se pahle hasil ho jata hai
sari haqiqat khul jati hai danai ki
jis din ek gumrah muqabil ho jata hai
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 36)
- Author :Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.