jab se be-rang sa kuchh ru-e-zamin ho gaya hai
jab se be-rang sā kuchh rū-e-zamīñ ho gayā hai
āsmāñ pahle se kuchh aur hasīñ ho gayā hai
haiñ tasarruf meñ tire ḳhākī-o-nūrī donoñ
phir bhī nāpāk bahut farsh-e-zamīñ ho gayā hai
'aam jis din se huī banda-navāzī us kī
har koī shāmil-e-as.hāb-e-yamīñ ho gayā hai
maslahat is meñ hai kyā ye to ḳhudā hī jaane
vo bahar-hāl bahut ham se qarīñ ho gayā hai
'aql kahtī hai yahāñ amn hai chāroñ jānib
dil ye kahtā hai nahīñ kuchh to kahīñ ho gayā hai
tund kyoñ itnā ḳhudā jaane hai lahja merā
vo ġhazal sun ke mirī chīñ-ba-jabīñ ho gayā hai
faisla aage jo kuchh hogā so hogā 'najmī'
hashr to apnā jo honā thā yahīñ ho gayā hai
jab se be-rang sa kuchh ru-e-zamin ho gaya hai
aasman pahle se kuchh aur hasin ho gaya hai
hain tasarruf mein tere KHaki-o-nuri donon
phir bhi napak bahut farsh-e-zamin ho gaya hai
'am jis din se hui banda-nawazi us ki
har koi shamil-e-ashab-e-yamin ho gaya hai
maslahat is mein hai kya ye to KHuda hi jaane
wo bahar-haal bahut hum se qarin ho gaya hai
'aql kahti hai yahan amn hai chaaron jaanib
dil ye kahta hai nahin kuchh to kahin ho gaya hai
tund kyon itna KHuda jaane hai lahja mera
wo ghazal sun ke meri chin-ba-jabin ho gaya hai
faisla aage jo kuchh hoga so hoga 'najmi'
hashr to apna jo hona tha yahin ho gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.