Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab se dekha janab ka chehra

Sada Ambalvi

jab se dekha janab ka chehra

Sada Ambalvi

MORE BYSada Ambalvi

    jab se dekhā janāb chehra

    dil ko bhāyā na dūsrā chehra

    aap ko dekh kar ye bhed khulā

    kis ko kahte haiñ chāñd chehra

    be-sabab chāñd baam par aaya

    sab nazroñ meñ thā tirā chehra

    husn dekho na ho kabhī rusvā

    duur se un dekhnā chehra

    paḌhte paḌhte hayāt biit ga.ī

    kitnī lambī kitāb thā chehra

    hoñ nigāheñ jo dekhne vaalī

    dil hotā hai aa.ina chehra

    sar to sajde meñ jhuk gayā lekin

    thā nigāhoñ meñ yaar chehra

    aaj baiThe haiñ bazm meñ ġhammāz

    un ke chehre se haTā chehra

    chehre chehre chahār-sū chehre

    tujh lekin kahāñ dikhā chehra

    kis tarah log haiñ lagā lete

    ek chehre pe nit-nayā chehrā

    hashr meñ kaise le ke jāoge

    apnā kālikh-bharā 'sadā' chehrā

    jab se dekha janab ka chehra

    dil ko bhaya na dusra chehra

    aap ko dekh kar ye bhed khula

    kis ko kahte hain chand sa chehra

    be-sabab chand baam par aaya

    sab ki nazron mein tha tera chehra

    husn dekho na ho kabhi ruswa

    dur se un ka dekhna chehra

    paDhte paDhte hayat bit gai

    kitni lambi kitab tha chehra

    hon nigahen jo dekhne wali

    dil ka hota hai aaina chehra

    sar to sajde mein jhuk gaya lekin

    tha nigahon mein yar ka chehra

    aaj baiThe hain bazm mein ghammaz

    un ke chehre se tu haTa chehra

    chehre chehre chahaar-su chehre

    tujh sa lekin kahan dikha chehra

    kis tarah log hain laga lete

    ek chehre pe nit-naya chehra

    hashr mein kaise le ke jaoge

    apna kalikh-bhara 'sada' chehra

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now