jab se kisi ke panw ki sani hua hun dhul
jab se kisī ke paañv kī 'sānī' huā huuñ dhuul
har shaḳhs muskurā ke mujhe kartā hai qubūl
ho sab kī khetiyoñ kī hifāzat mire ḳhudā
phūloñ kī bāḌiyoñ meñ koī bo gayā babūl
us dar ke vāste na koī phuul toḌnā
us ko qubūl haiñ to faqat āñsuoñ ke phuul
rotī huī un āñkhoñ ne mujh ko kiyā nihāl
ik lahza apne dard ko yaksar gayā maiñ bhuul
duniyā tirā hisāb nirālā hai kyā kaheñ
haath aa.ī ek paa.ī na Duubā sab apnā muul
un jangaloñ meñ koī nahīñ ghar ko lauT aao
'sānī' talāsh-e-haq meñ bhaTaknā hai yuuñ fuzūl
jab se kisi ke panw ki 'sani' hua hun dhul
har shaKHs muskura ke mujhe karta hai qubul
ho sab ki khetiyon ki hifazat mere KHuda
phulon ki baDiyon mein koi bo gaya babul
us dar ke waste na koi phul toDna
us ko qubul hain to faqat aansuon ke phul
roti hui un aankhon ne mujh ko kiya nihaal
ek lahza apne dard ko yaksar gaya main bhul
duniya tera hisab nirala hai kya kahen
hath aai ek pai na Duba sab apna mul
un jangalon mein koi nahin ghar ko lauT aao
'sani' talash-e-haq mein bhaTakna hai yun fuzul
- Book : Maujood Ki Nisbat Se (Pg. 35)
- Author : Mahendra Kumar Sani
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.