jab se wo mere apne ghairon mein baT gae
jab se vo mere apne ġhairoñ meñ baT ga.e
ummīd ke to jaise bādal hī chhaT ga.e
ġham yuuñ to bāñTne se ab tak baḌhe hī the
par sang tere bāñTe to ye bhī ghaT ga.e
mushkil thā kaam vaise yuuñ bhūlnā use
is kaam se magar ham kab ke nipaT ga.e
imdād meñ tirī to hāzir bahut the nā
to kyā huā agar ham pīchhe bhī haT ga.e
kitne 'ajīb the vo apne ta'alluqāt
ḳhud phailte ga.e phir ḳhud hī simaT ga.e
aa.e to the bahut se yuuñ rāste meñ saath
manzil thī duur to phir sab hī palaT ga.e
din raat māñgte the jis ko ḳhudā se ham
us ke baġhair hī phir din raat kaT ga.e
the muddatoñ se bhūke vo jānvar sabhī
so zahr bhī parosā to sab jhapaT ga.e
rakh kar yaqīñ ḳhudā par kuchh yuuñ huā ki ham
pīchhe nahīñ haTe jo ik baar DaT ga.e
jab se wo mere apne ghairon mein baT gae
ummid ke to jaise baadal hi chhaT gae
gham yun to banTne se ab tak baDhe hi the
par sang tere banTe to ye bhi ghaT gae
mushkil tha kaam waise yun bhulna use
is kaam se magar hum kab ke nipaT gae
imdad mein teri to hazir bahut the na
to kya hua agar hum pichhe bhi haT gae
kitne 'ajib the wo apne ta'alluqat
KHud phailte gae phir KHud hi simaT gae
aae to the bahut se yun raste mein sath
manzil thi dur to phir sab hi palaT gae
din raat mangte the jis ko KHuda se hum
us ke baghair hi phir din raat kaT gae
the muddaton se bhuke wo jaanwar sabhi
so zahr bhi parosa to sab jhapaT gae
rakh kar yaqin KHuda par kuchh yun hua ki hum
pichhe nahin haTe jo ek bar DaT gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.