jab sham ka suraj abhi gharqab hua ho
jab shaam kā sūraj abhī ġharqāb huā ho
tū merī mulāqāt ko betāb khaḌā ho
har ruup meñ paayā hai tujhe maiñ ne anokhā
titlī ho kalī ho ki koī bād-e-sabā ho
jab niiñd meñ jhāñkūñ tirī guftār sunūñ maiñ
jab aañkh zarā kholūñ tū hī jalva-numā ho
is vāste kuchh ḳhuun varīdoñ meñ bachāyā
shāyad tirā nāḳhun kabhī muhtāj-e-hinā ho
insānoñ kī bastī meñ rahā huuñ yuuñ akelā
vīrāne meñ jis tarh koī phuul khilā ho
jab sham ka suraj abhi gharqab hua ho
tu meri mulaqat ko betab khaDa ho
har rup mein paya hai tujhe main ne anokha
titli ho kali ho ki koi baad-e-saba ho
jab nind mein jhankun teri guftar sunun main
jab aankh zara kholun tu hi jalwa-numa ho
is waste kuchh KHun waridon mein bachaya
shayad tera naKHun kabhi muhtaj-e-hina ho
insanon ki basti mein raha hun yun akela
virane mein jis tarh koi phul khila ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.