jab suraj Dhalne lagta hai
jab sūraj Dhalne lagtā hai
yaad mujhe tū kyoñ aatā hai
tū ne pahne haiñ dastāne
mere dil kā ḳhuun huā hai
tere shahr meñ aa kar mujh ko
apnā aap hī bhuul gayā hai
tū ne nahīñ banāyā apnā
tere shahr ko apnāyā hai
terī saarī bāteñ sachchī
kaise kahūñ maiñ tū jhūTā hai
koī tirī majbūrī hogī
maiñ ne ab ye soch liyā hai
is dil ko kaise samjhā.ūñ
ye tujh ko apnā samjhā hai
'ishq kī aag ye kaisī bhaḌkī
sab kuchh jal kar raakh huā hai
tere shahr se jaane lagā huuñ
koī mujh ko rok rahā hai
jab suraj Dhalne lagta hai
yaad mujhe tu kyon aata hai
tu ne pahne hain dastane
mere dil ka KHun hua hai
tere shahr mein aa kar mujh ko
apna aap hi bhul gaya hai
tu ne nahin banaya apna
tere shahr ko apnaya hai
teri sari baaten sachchi
kaise kahun main tu jhuTa hai
koi teri majburi hogi
main ne ab ye soch liya hai
is dil ko kaise samjhaun
ye tujh ko apna samjha hai
'ishq ki aag ye kaisi bhaDki
sab kuchh jal kar rakh hua hai
tere shahr se jaane laga hun
koi mujh ko rok raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.