jab tak KHayal-o-KHwab se dil bhar nahin gaya
jab tak ḳhayāl-o-ḳhvāb se dil bhar nahīñ gayā
maiñ shahr-e-e'tibār ke andar nahīñ gayā
kyā tishnigān-e-dahr se karte ho zikr-e-ḳhair
sahrā meñ ek buuñd samundar nahīñ gayā
bas ek hī shikast-e-mohabbat kā hai sabab
dil jis taraf gayā hai muqaddar nahīñ gayā
ham ko nahīñ sukūnat-e-'ushshāq se ġharaz
kahte haiñ dasht-zād kabhī ghar nahīñ gayā
'ādat ḳhud apnā bojh uThāne kī hai mujhe
is vāste ḳhalā ke safar par nahīñ gayā
rahte haiñ jis galī meñ bahut māl-dār log
hairat hai us galī meñ gadāgar nahīñ gayā
kaise huā hai manzil-e-bālā se phir farār
'āsim' agar vo shaḳhs utar kar nahīñ gayā
jab tak KHayal-o-KHwab se dil bhar nahin gaya
main shahr-e-e'tibar ke andar nahin gaya
kya tishnigan-e-dahr se karte ho zikr-e-KHair
sahra mein ek bund samundar nahin gaya
bas ek hi shikast-e-mohabbat ka hai sabab
dil jis taraf gaya hai muqaddar nahin gaya
hum ko nahin sukunat-e-'ushshaq se gharaz
kahte hain dasht-zad kabhi ghar nahin gaya
'adat KHud apna bojh uThane ki hai mujhe
is waste KHala ke safar par nahin gaya
rahte hain jis gali mein bahut mal-dar log
hairat hai us gali mein gadagar nahin gaya
kaise hua hai manzil-e-baala se phir farar
'asim' agar wo shaKHs utar kar nahin gaya
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 110)
- Author :Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.