jab tere waste ghar chhoD diya jata hai
jab tire vāste ghar chhoḌ diyā jaatā hai
dar-ba-dar hone kā Dar chhoḌ diyā jaatā hai
āḳhir-e-kār kahalvāte haiñ tere bekār
zindagī bhar kā hunar chhoḌ diyā jaatā hai
ham to vo haiñ ki jinheñ misl tamannā-e-ziyāñ
dekh kar ek nazar chhoḌ diyā jaatā hai
vā'da-e-ham-safarī kaun nibhā saktā hai
haañ sar-e-rāhguzar chhoḌ diyā jaatā hai
maiñ vahāñ ḳhud hī pahuñch jaatā huuñ pahle se 'zarīm'
mere jaisoñ ko jidhar chhoḌ diyā jaatā hai
jab tere waste ghar chhoD diya jata hai
dar-ba-dar hone ka Dar chhoD diya jata hai
aaKHir-e-kar kahalwate hain tere bekar
zindagi bhar ka hunar chhoD diya jata hai
hum to wo hain ki jinhen misl tamanna-e-ziyan
dekh kar ek nazar chhoD diya jata hai
wa'da-e-ham-safari kaun nibha sakta hai
han sar-e-rahguzar chhoD diya jata hai
main wahan KHud hi pahunch jata hun pahle se 'zarim'
mere jaison ko jidhar chhoD diya jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.