jab wo mere qarib se hans kar guzar gae
jab vo mire qarīb se hañs kar guzar ga.e
kuchh ḳhaas dostoñ ke bhī chehre utar ga.e
vo hañs diye to raat sañvartī chalī ga.ī
zulfeñ bikher diiñ to ujāle nikhar ga.e
afsos Dūbne kī tamanna hī rah ga.ī
tūfān zindagī meñ jo aa.e guzar ga.e
kashtī koī Dubo ke subuk-dosh ho gayā
ilzām jis qadar the vo tūfāñ ke sar ga.e
koī hameñ batā.e ki ham kyā javāb deñ
manzil ye pūchhtī hai ki sāthī kidhar ga.e
hālāñki un ko dekh ke palTī hī thī nazar
mahsūs ye huā ki zamāne guzar ga.e
dair-o-haram meñ haiñ na kisī anjuman meñ haiñ
dīvāne ai 'mushīr' na jaane kidhar ga.e
jab wo mere qarib se hans kar guzar gae
kuchh KHas doston ke bhi chehre utar gae
wo hans diye to raat sanwarti chali gai
zulfen bikher din to ujale nikhar gae
afsos Dubne ki tamanna hi rah gai
tufan zindagi mein jo aae guzar gae
kashti koi Dubo ke subuk-dosh ho gaya
ilzam jis qadar the wo tufan ke sar gae
koi hamein batae ki hum kya jawab den
manzil ye puchhti hai ki sathi kidhar gae
haalanki un ko dekh ke palTi hi thi nazar
mahsus ye hua ki zamane guzar gae
dair-o-haram mein hain na kisi anjuman mein hain
diwane ai 'mushir' na jaane kidhar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.