jahan mein log wahi KHush-nasib hote hain
jahāñ meñ log vahī ḳhush-nasīb hote haiñ
ki jin ke chāhne vaale qarīb hote haiñ
sukūn-e-dil ke vafā ke hayā ke qurbat ke
tamām 'umr meñ kuchh pal nasīb hote haiñ
kisī kī āñkhoñ meñ aañsū kisī ke lab pe fuġhāñ
bichhaḌte vaqt ke manzar 'ajīb hote haiñ
ḳhizāñ ke baa'd jo fasl-e-bahār aatī hai
chaman meñ zīnat-e-gul 'andalīb hote haiñ
ik 'umr kam hai jo manzil pe pahuñchnā ho 'ziyā'
ye chāhatoñ ke safar bhī 'ajīb hote haiñ
jahan mein log wahi KHush-nasib hote hain
ki jin ke chahne wale qarib hote hain
sukun-e-dil ke wafa ke haya ke qurbat ke
tamam 'umr mein kuchh pal nasib hote hain
kisi ki aankhon mein aansu kisi ke lab pe fughan
bichhaDte waqt ke manzar 'ajib hote hain
KHizan ke ba'd jo fasl-e-bahaar aati hai
chaman mein zinat-e-gul 'andalib hote hain
ek 'umr kam hai jo manzil pe pahunchna ho 'ziya'
ye chahaton ke safar bhi 'ajib hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.