jahan par sham se milti hui ek bhor hai shayad

jahan par sham se milti hui ek bhor hai shayad
Surendra Bhatia Salil
MORE BYSurendra Bhatia Salil
jahāñ par shaam se miltī huī ik bhor hai shāyad
vahīñ par us ke mere vasl kā ik kor hai shāyad
faqat ik ḳhvāb meñ huuñ ḳhvāb huuñ yā huuñ haqīqat maiñ
mirī parvāz meñ us kā hī koī zor hai shāyad
maiñ us ko duur se dekhūñ to lagtā hai sukūñ jaisā
jo ḳhud meñ jhāñk kar dekhūñ to koī shor hai shāyad
talab itnī ziyāda hai magar utnī hī hai duurī
mujhe aur us ko bāñdhe dil kī koī Dor hai shāyad
jahan par sham se milti hui ek bhor hai shayad
wahin par us ke mere wasl ka ek kor hai shayad
faqat ek KHwab mein hun KHwab hun ya hun haqiqat main
meri parwaz mein us ka hi koi zor hai shayad
main us ko dur se dekhun to lagta hai sukun jaisa
jo KHud mein jhank kar dekhun to koi shor hai shayad
talab itni ziyaada hai magar utni hi hai duri
mujhe aur us ko bandhe dil ki koi Dor hai shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.