jahan pe main hi nahin tum wahan se lauT aao
jahāñ pe maiñ hī nahīñ tum vahāñ se lauT aao
zamīñ ke ho ke raho āsmāñ se lauT aao
yaqīn jaano vahāñ koī ham-ḳhayāl nahīñ
so tum ko chāhiye bazm-e-gumāñ se lauT aao
hameñ tumhārī tamanna hai aur kuchh bhī nahīñ
hameñ qubūl ho tum ab jahāñ se lauT aao
qalam uThāo mohabbat kī raushnī likkho
tum ahl-e-'ilm ho tīr-o-kamāñ se lauT aao
sitam hai jhuuT hai shar hai fareb hai jis meñ
mire 'azīzo tum us dāstāñ se lauT aao
ab aur kitnā sitam ḳhud pe Dhāogī 'resham'
basāo ḳhud ko zarā lā-makāñ se lauT aao
jahan pe main hi nahin tum wahan se lauT aao
zamin ke ho ke raho aasman se lauT aao
yaqin jaano wahan koi ham-KHayal nahin
so tum ko chahiye bazm-e-guman se lauT aao
hamein tumhaari tamanna hai aur kuchh bhi nahin
hamein qubul ho tum ab jahan se lauT aao
qalam uThao mohabbat ki raushni likkho
tum ahl-e-'ilm ho tir-o-kaman se lauT aao
sitam hai jhuT hai shar hai fareb hai jis mein
mere 'azizo tum us dastan se lauT aao
ab aur kitna sitam KHud pe Dhaogi 'resham'
basao KHud ko zara la-makan se lauT aao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.