jahan pe teri kami bhi na ho sake mahsus
jahāñ pe terī kamī bhī na ho sake mahsūs
talāsh hī rahī āñkhoñ ko aise manzar kī
hameñ to ḳhud nahīñ ma.alūm kyā kisī se kaheñ
ki tujh se milne kī koshish na kyuuñ bichhaḌ kar kī
magar ye zauq-e-parastish ki ab bhī tishna hai
jabīñ ko chuum chuke ek ek patthar kī
kahāñ pe dafn vo parchhā.iyāñ kareñ yaaro
jo taab lā na sakīñ raushnī ke ḳhanjar kī
har ek gul ko hai ishq-e-sumūm kā saudā
har ek shāḳh yahāñ mo'taqid hai sarsar kī
jidhar añdherā hai tanhā.ī hai udāsī hai
safar kī ham ne vahī samt kyuuñ muqarrar kī
jahan pe teri kami bhi na ho sake mahsus
talash hi rahi aankhon ko aise manzar ki
hamein to KHud nahin malum kya kisi se kahen
ki tujh se milne ki koshish na kyun bichhaD kar ki
magar ye zauq-e-parastish ki ab bhi tishna hai
jabin ko chum chuke ek ek patthar ki
kahan pe dafn wo parchhaiyan karen yaro
jo tab la na sakin raushni ke KHanjar ki
har ek gul ko hai ishq-e-sumum ka sauda
har ek shaKH yahan mo'taqid hai sarsar ki
jidhar andhera hai tanhai hai udasi hai
safar ki hum ne wahi samt kyun muqarrar ki
- Book : Range-e-Gazal (Pg. 468)
- Author : shahzaad ahmad
- Publication : Ali Printers, 19-A Abate Road, Lahore (1988)
- Edition : 1988
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.