jahan se dur chal kahin pe len panah mushtarak
jahāñ se duur chal kahīñ pe leñ panāh mushtarak
hañsī ho mushtarak jahāñ hamārī aah mushtarak
hoñ kā.enāt ke safar meñ saath saath har qadam
to manzaroñ ke dekhne ko ho nigāh mushtarak
zamīñ ke har charāġh tak hai terī merī dastaras
falak pe haiñ sabhī sitāre mehr-o-māh mushtarak
zarā sī bevafā.ī par maiñ kis tarah nikāl duuñ
suno sadā rahegā ye dil-e-tabāh mushtarak
sadā rahā to ham-qadam suḳhan ke is maqām tak
haiñ sāñjhī ḳhil'ateñ hamārī 'izz-o-jāh mushtarak
kabhī na baar hoñ mohabbateñ rahe fazā-e-dil
‘alāhida kabhī kabhī to gāh-gāh mushtarak
azal se rāz-dāriyāñ haiñ tere mere darmiyāñ
savāb mushtarak haiñ apne sab gunāh mushtarak
hamāre ittihād ko hai kaafī itnā hī sabab
'adū haiñ mushtarak hamāre ḳhair-ḳhvāh mushtarak
parā.e des meñ nahīñ haiñ ajnabī ai ham-vatan
hai tere mere biich meñ vatan kī chaah mushtarak
munāfarat ke biij kis ne bo diye haiñ darmiyāñ
huī hai dū-ba-dū kabhī thī jo sipāh mushtarak
jahan se dur chal kahin pe len panah mushtarak
hansi ho mushtarak jahan hamari aah mushtarak
hon kaenat ke safar mein sath sath har qadam
to manzaron ke dekhne ko ho nigah mushtarak
zamin ke har charagh tak hai teri meri dastaras
falak pe hain sabhi sitare mehr-o-mah mushtarak
zara si bewafai par main kis tarah nikal dun
suno sada rahega ye dil-e-tabah mushtarak
sada raha to ham-qadam suKHan ke is maqam tak
hain sanjhi KHil'aten hamari 'izz-o-jah mushtarak
kabhi na bar hon mohabbaten rahe faza-e-dil
‘alahida kabhi kabhi to gah-gah mushtarak
azal se raaz-dariyan hain tere mere darmiyan
sawab mushtarak hain apne sab gunah mushtarak
hamare ittihad ko hai kafi itna hi sabab
'adu hain mushtarak hamare KHair-KHwah mushtarak
parae des mein nahin hain ajnabi ai ham-watan
hai tere mere bich mein watan ki chah mushtarak
munafarat ke bij kis ne bo diye hain darmiyan
hui hai du-ba-du kabhi thi jo sipah mushtarak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.