Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jaise bhi ye duniya hai jo kuchh bhi zamana hai

Basit Bhopali

jaise bhi ye duniya hai jo kuchh bhi zamana hai

Basit Bhopali

MORE BYBasit Bhopali

    jaise bhī ye duniyā hai jo kuchh bhī zamānā hai

    sab terī kahānī hai sab merā fasānā hai

    ik barq-e-siyah-mastī ik sho.ala-e-mad-hoshī

    miinā se girānā hai sāġhar se uThānā hai

    tum tak na pahuñch jaa.e lau sham-e-mohabbat

    jab tuur ko phūñkā thā ab dil ko jalānā hai

    mahdūd-e-zabāñ kab tak afsāna mohabbat

    āñkhoñ se bhī kahnā hai dil se bhī sunānā hai

    allāh re tanzīm hairat-kada-e-hastī

    dekho to haqīqat hai samjho to fasānā hai

    aaheñ bhī nahīñ ruktīñ naale bhī nahīñ thamte

    aur un ko mohabbat afsāna sunānā hai

    vo husn-e-mujassam haiñ ham ishq-e-mukammal haiñ

    un bhī zamāna hai apnā bhī zamānā hai

    jalve kahīñ chhupte haiñ nazreñ kahīñ ruktī haiñ

    parda na uThānā bhī parda uThānā hai

    bulbul mohabbat se vo raaz rahe kab tak

    kaliyoñ zabāñ par jo mub.ham fasānā hai

    tadbīr bhī ye kah kar ruḳhsat huī furqat meñ

    taqdīr duniyā hai qismat zamānā hai

    kuchh dard ke pahlū haiñ kuchh yaas bāteñ haiñ

    afsāna mirā kyā hai ronā hai rulānā hai

    nākām mohabbat allāh re majbūrī

    jiine nahīñ fursat marne ko zamānā hai

    kyā qahr hai ai 'bāsit' ye tab-e-hayā-parvar

    un mohabbat hai un se chhupānā hai

    jaise bhi ye duniya hai jo kuchh bhi zamana hai

    sab teri kahani hai sab mera fasana hai

    ek barq-e-siyah-masti ek shoala-e-mad-hoshi

    mina se girana hai saghar se uThana hai

    tum tak na pahunch jae lau sham-e-mohabbat ki

    jab tur ko phunka tha ab dil ko jalana hai

    mahdud-e-zaban kab tak afsana mohabbat ka

    aankhon se bhi kahna hai dil se bhi sunana hai

    allah re tanzim hairat-kada-e-hasti

    dekho to haqiqat hai samjho to fasana hai

    aahen bhi nahin ruktin nale bhi nahin thamte

    aur un ko mohabbat ka afsana sunana hai

    wo husn-e-mujassam hain hum ishq-e-mukammal hain

    un ka bhi zamana hai apna bhi zamana hai

    jalwe kahin chhupte hain nazren kahin rukti hain

    parda na uThana bhi parda hi uThana hai

    bulbul ki mohabbat se wo raaz rahe kab tak

    kaliyon ki zaban par jo mubham sa fasana hai

    tadbir bhi ye kah kar ruKHsat hui furqat mein

    taqdir ki duniya hai qismat ka zamana hai

    kuchh dard ke pahlu hain kuchh yas ki baaten hain

    afsana mera kya hai rona hai rulana hai

    nakaam mohabbat ki allah re majburi

    jine ki nahin fursat marne ko zamana hai

    kya qahr hai ai 'basit' ye tab-e-haya-parwar

    un ki hi mohabbat hai un se hi chhupana hai

    Source:

    Karvan-e-ghazal (Pg. B-137 E-142)

    • Author: Basit Bhopali
      • Edition: 1961-62
      • Publisher: Basit Publications Committee, Bhopal
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now