jal bhi sakta hai pairahan us ka
jal bhī saktā hai pairahan us kā
aag hī aag hai badan us kā
shahd kā zā.iqa hai chakhne meñ
chuum kar dekhiye dahan us kā
aur phir ik nishāñ ubhar aaya
haath jab chhū chukī kiran us kā
maiñ nahīñ dekhtā tirī sūrat
maiñ to bas dekhtā huuñ fan us kā
us pe jachtī hai har adā-e-jamāl
us ko zebā hai bāñkpan us kā
kaun aa.egā bā’d-e-qais yahāñ
rāstā dekhtā hai ban us kā
ḳhaak uḌātā hai dasht-o-sahrā kī
mauj meñ hai bahut hiran us kā
ashk aatā hai aañkh meñ ḳhud hī
ye samundar hai maujzan us kā
gūñjtā hai shabāna-roz 'āzar'
mere ehsās meñ suḳhan us kā
jal bhi sakta hai pairahan us ka
aag hi aag hai badan us ka
shahd ka zaiqa hai chakhne mein
chum kar dekhiye dahan us ka
aur phir ek nishan ubhar aaya
hath jab chhu chuki kiran us ka
main nahin dekhta teri surat
main to bas dekhta hun fan us ka
us pe jachti hai har ada-e-jamal
us ko zeba hai bankpan us ka
kaun aaega ba’d-e-qais yahan
rasta dekhta hai ban us ka
KHak uData hai dasht-o-sahra ki
mauj mein hai bahut hiran us ka
ashk aata hai aankh mein KHud hi
ye samundar hai maujzan us ka
gunjta hai shabana-roz 'azar'
mere ehsas mein suKHan us ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.