Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jald-az-jald bichhaD jaun dua de mujhko

Afzal Ali Afzal

jald-az-jald bichhaD jaun dua de mujhko

Afzal Ali Afzal

MORE BYAfzal Ali Afzal

    jald-az-jald bichhaḌ jā.ūñ duā de mujh ko

    yahī behtar hai tire haq meñ bhulā de mujh ko

    har koī sabr talqīn kiyā kartā hai

    kaise karte haiñ koī ye bhī batā de mujh ko

    maiñ huuñ sadiyoñ se bhaTaktā huā pyāsā dariyā

    ai ḳhudā kuchh to samundar ke sivā de mujh ko

    mujh dīvāna nahīñ sab ko mayassar pyāre

    ab tirī marzī hai chāhe to gañvā de mujh ko

    is se pahle ḳhāmoshī mujhe pāgal kar de

    us se kahiyo zarā aa ke rulā de mujh ko

    in dinoñ dost mire saare rūThe hue haiñ

    mere dushman yahī mauqa hai harā de mujh ko

    jald-az-jald bichhaD jaun dua de mujh ko

    yahi behtar hai tere haq mein bhula de mujh ko

    har koi sabr ki talqin kiya karta hai

    kaise karte hain koi ye bhi bata de mujh ko

    main hun sadiyon se bhaTakta hua pyasa dariya

    ai KHuda kuchh to samundar ke siwa de mujh ko

    mujh sa diwana nahin sab ko mayassar pyare

    ab teri marzi hai chahe to ganwa de mujh ko

    is se pahle ki KHamoshi mujhe pagal kar de

    us se kahiyo ki zara aa ke rula de mujh ko

    in dinon dost mere sare hi ruThe hue hain

    mere dushman yahi mauqa hai hara de mujh ko

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now