jalna mushkil hai gili lakDi hai
jalnā mushkil hai giilī lakḌī hai
phir bhī koshish tumhārī achchhī hai
gardisheñ tham ga.iiñ to mujh pe khulā
yaar chaltī kā naam gaaḌī hai
kuchh tanāo hai ek jānib se
ek jānib se Dor Dhīlī hai
koī halke meñ le rahā hai mujhe
so tabī'at zarā sī bhārī hai
gard chhaTtī hai ek lamhe ko
phir ye bārish udaas kartī hai
jalna mushkil hai gili lakDi hai
phir bhi koshish tumhaari achchhi hai
gardishen tham gain to mujh pe khula
yar chalti ka nam gaDi hai
kuchh tanao hai ek jaanib se
ek jaanib se Dor Dhili hai
koi halke mein le raha hai mujhe
so tabi'at zara si bhaari hai
gard chhaTti hai ek lamhe ko
phir ye barish udas karti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.