Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jamal ab to yahi rah gaya pata us ka

Jamal Ehsani

jamal ab to yahi rah gaya pata us ka

Jamal Ehsani

MORE BYJamal Ehsani

    'jamāl' ab to yahī rah gayā pata us

    bhalī shakl thī achchhā naam thā us

    phir ek saaya dar-o-bām par utar aayā

    dil-o-nigāh meñ phir zikr chhiḌ gayā us

    kise ḳhabar thī ki ye din bhī dekhnā hogā

    ab e'tibār bhī dil ko nahīñ rahā us

    jo mere zikr par ab qahqahe lagātā hai

    bichhaḌte vaqt koī haal dekhtā us

    mujhe tabāh kiyā aur sab nazroñ meñ

    vo be-qusūr rahā ye kamāl thā us

    so kis se kījiye zikr-e-nazākat-e-ḳhad-o-ḳhāl

    koī milā nahīñ sūrat-āshnā us

    jo saaya saaya shab-o-roz mere saath rahā

    galī galī meñ pata pūchhtā phirā us

    'jamāl' us ne to Thānī thī umr-bhar ke liye

    ye chaar roz meñ kyā haal ho gayā us

    'jamal' ab to yahi rah gaya pata us ka

    bhali si shakl thi achchha sa nam tha us ka

    phir ek saya dar-o-baam par utar aaya

    dil-o-nigah mein phir zikr chhiD gaya us ka

    kise KHabar thi ki ye din bhi dekhna hoga

    ab e'tibar bhi dil ko nahin raha us ka

    jo mere zikr par ab qahqahe lagata hai

    bichhaDte waqt koi haal dekhta us ka

    mujhe tabah kiya aur sab ki nazron mein

    wo be-qusur raha ye kamal tha us ka

    so kis se kijiye zikr-e-nazakat-e-KHad-o-KHal

    koi mila hi nahin surat-ashna us ka

    jo saya saya shab-o-roz mere sath raha

    gali gali mein pata puchhta phira us ka

    'jamal' us ne to Thani thi umr-bhar ke liye

    ye chaar roz mein kya haal ho gaya us ka

    Source:

    Akelepan Ki Intiha (Pg. 47)

    • Author: Jamal Ehsani
      • Edition: First
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2018
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now