jangal se jate jate yahi kaam kar diya
jangal se jaate jaate yahī kaam kar diyā
ham ne har ek peḌ tire naam kar diyā
jab bhī tumhārī āñkheñ hameñ yaad aa.ī haiñ
raushan koī charāġh lab-e-bām kar diyā
lab pe jo lab rakhe to unheñ kar diyā gulāb
āñkhoñ ko chhū liyā to unheñ jaam kar diyā
kis ne diye kī lau meñ lapeTī shab-e-darāz
kis ne havā ke zor ko nākām kar diyā
ye pairahan bhī pahnā hai pākīzgī ke saath
ham ne tumhārī yaad ko ehrām kar diyā
bāloñ meñ us ne phuul mire naam kā rakhā
ḳhushbū se merā zikr sar-e-'ām kar diyā
in ḳhvāhishoñ kā aur kyā honā thā intizām
nazr-e-mizāj-e-gardish-e-ayyām kar diyā
'az.har' hamāre paas koī mo'jiza nahīñ
rāvan kā haath chūmā use raam kar diyā
jangal se jate jate yahi kaam kar diya
hum ne har ek peD tere nam kar diya
jab bhi tumhaari aankhen hamein yaad aai hain
raushan koi charagh lab-e-baam kar diya
lab pe jo lab rakhe to unhen kar diya gulab
aankhon ko chhu liya to unhen jam kar diya
kis ne diye ki lau mein lapeTi shab-e-daraaz
kis ne hawa ke zor ko nakaam kar diya
ye pairahan bhi pahna hai pakizgi ke sath
hum ne tumhaari yaad ko ehram kar diya
baalon mein us ne phul mere nam ka rakha
KHushbu se mera zikr sar-e-'am kar diya
in KHwahishon ka aur kya hona tha intizam
nazr-e-mizaj-e-gardish-e-ayyam kar diya
'azhar' hamare pas koi mo'jiza nahin
rawan ka hath chuma use ram kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.