jawab sare sawaliya kar ke aa raha hun
javāb saare savāliya kar ke aa rahā huuñ
maiñ zindagī se mukālima kar ke aa rahā huuñ
parind mujh par utarne vaale haiñ dhīre dhīre
maiñ sabz peḌoñ se rābta kar ke aa rahā huuñ
tirī havelī meñ aanā āsān to nahīñ thā
chaTān haa.il thī rāsta kar ke aa rahā huuñ
tamām dushman to mujh ko taslīm kar chuke haiñ
maiñ dostoñ se muqābla kar ke aa rahā huuñ
maiñ aise pahuñchā nahīñ huuñ 'maz.har' abad se aage
maiñ lā-makāñ se musāfaha kar ke aa rahā huuñ
jawab sare sawaliya kar ke aa raha hun
main zindagi se mukalima kar ke aa raha hun
parind mujh par utarne wale hain dhire dhire
main sabz peDon se rabta kar ke aa raha hun
teri haweli mein aana aasan to nahin tha
chaTan hail thi rasta kar ke aa raha hun
tamam dushman to mujh ko taslim kar chuke hain
main doston se muqabla kar ke aa raha hun
main aise pahuncha nahin hun 'mazhar' abad se aage
main la-makan se musafaha kar ke aa raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.