jawani zist ka hi ek hissa hai
javānī ziist kā hī ek hissa hai
par is ne merā bachpan mujh se chhīnā hai
bajā.e ḳhud-kushī ke dekh kar shīsha
vo jī bhar ke agar ro le to achchhā hai
pakaḌ kar ek uñglī in kināroñ kī
nadī ne dhīre dhīre chalnā sīkhā hai
utarte hī zamīñ pe raat ne dekhā
thakā haarā sā din miTTī pe leTā hai
ḳhud apne bachche ko hī god meñ le ke
mujhe ik achchhā beTā banñā aayā hai
mirī āñkheñ mujhe samjheñ na samjheñ par
mire aañsū kā har qatra samajhtā hai
zarā sī baat par dil dukhtā hai 'abtar'
ye koī kah de to dil aur dukhtā hai
jawani zist ka hi ek hissa hai
par is ne mera bachpan mujh se chhina hai
bajae KHud-kushi ke dekh kar shisha
wo ji bhar ke agar ro le to achchha hai
pakaD kar ek ungli in kinaron ki
nadi ne dhire dhire chalna sikha hai
utarte hi zamin pe raat ne dekha
thaka haara sa din miTTi pe leTa hai
KHud apne bachche ko hi god mein le ke
mujhe ek achchha beTa banna aaya hai
meri aankhen mujhe samjhen na samjhen par
mere aansu ka har qatra samajhta hai
zara si baat par dil dukhta hai 'abtar'
ye koi kah de to dil aur dukhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.