jazba-e-dil ko jagane ke liye pita hun
jazba-e-dil ko jagāne ke liye piitā huuñ
apnī hastī ko miTāne ke liye piitā huuñ
kuchh to maiñ bāda-e-rangīn kā dīvāna huuñ
mohtasib ko bhī satāne ke liye piitā huuñ
mai-parastī se mirī aap gurezāñ haiñ magar
aap ko apnā banāne ke liye piitā huuñ
mai-kada mere liye dār-o-rasan hai saaqī
bazm-e-dil tuur banāne ke liye piitā huuñ
aaj phir zabt kī tauhīn huī hai saaqī
aaj phir hashr uThāne ke liye piitā huuñ
jin kī nazroñ meñ hai ik bahr-e-mohabbat kā sukūt
un kī nazroñ meñ samāne ke liye piitā huuñ
tum na samjhoge 'ziyā' bāda-kashī ko merī
maiñ na.ī raah par aane ke liye piitā huuñ
jazba-e-dil ko jagane ke liye pita hun
apni hasti ko miTane ke liye pita hun
kuchh to main baada-e-rangin ka diwana hun
mohtasib ko bhi satane ke liye pita hun
mai-parasti se meri aap gurezan hain magar
aap ko apna banane ke liye pita hun
mai-kada mere liye dar-o-rasan hai saqi
bazm-e-dil tur banane ke liye pita hun
aaj phir zabt ki tauhin hui hai saqi
aaj phir hashr uThane ke liye pita hun
jin ki nazron mein hai ek bahr-e-mohabbat ka sukut
un ki nazron mein samane ke liye pita hun
tum na samjhoge 'ziya' baada-kashi ko meri
main nai rah par aane ke liye pita hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.