jhuk gaya jin ka taraazu zalimon ke samne
jhuk gayā jin kā tarāzū zālimoñ ke sāmne
kyā duhā.ī dījiye un munsifoñ ke sāmne
sarhadoñ meñ baañT dī ahl-e-siyāsat ne zamīñ
dil judā kab haiñ zamīnī sarhadoñ ke sāmne
bevafā.ī ne tirī dil ko malāl aisā diyā
Dūbtī haiñ kashtiyāñ juuñ sāhiloñ ke sāmne
aisī ātish thī hue ḳhāshāk ham sarsabz tan
naam mat le hijr kā ham dil-jaloñ ke sāmne
vaqt ne chhīne haiñ jin se ḳhatt-o-ḳhāl-e-zindagī
Darte haiñ jaate hue vo ā.inoñ ke sāmne
'ishq kī mo’jiz-numā.ī par hamārā e'tiqād
aap jhukte haiñ havas ke sho’badoñ ke sāmne
diid kā bas ek lamha hijr sadiyoñ par muhīt
niiñd kā pal jaise lākhoñ ratjagoñ ke sāmne
piiTh dikhlāte haiñ dushman ko jo buzdil kī tarah
sher bante haiñ vo apne hāmiyoñ ke sāmne
aur haiñ jo is kī chaukhaT par jabīñ-sā.ī kareñ
hech hai duniyā magar dīda-varoñ ke sāmne
us ke andāz-e-masīhā.ī kā 'nasrīñ' shukriya
rakh diyā hai jis ne nashtar ābloñ ke sāmne
jhuk gaya jin ka taraazu zalimon ke samne
kya duhai dijiye un munsifon ke samne
sarhadon mein banT di ahl-e-siyasat ne zamin
dil juda kab hain zamini sarhadon ke samne
bewafai ne teri dil ko malal aisa diya
Dubti hain kashtiyan jun sahilon ke samne
aisi aatish thi hue KHashak hum sarsabz tan
nam mat le hijr ka hum dil-jalon ke samne
waqt ne chhine hain jin se KHatt-o-KHal-e-zindagi
Darte hain jate hue wo aainon ke samne
'ishq ki mo’jiz-numai par hamara e'tiqad
aap jhukte hain hawas ke sho’badon ke samne
did ka bas ek lamha hijr sadiyon par muhit
nind ka pal jaise lakhon ratjagon ke samne
piTh dikhlate hain dushman ko jo buzdil ki tarah
sher bante hain wo apne hamiyon ke samne
aur hain jo is ki chaukhaT par jabin-sai karen
hech hai duniya magar dida-waron ke samne
us ke andaz-e-masihai ka 'nasrin' shukriya
rakh diya hai jis ne nashtar aablon ke samne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.